sandalin jism ki KHushbu se mahakti hui raat
mujh se kahti hai yahin aaj basera kar le
gar teri nind ujalon ki parastar nahin
apne ehsas pe zulfon ka andhera kar le
main ki din bhar ki chaka-chaund se uktaya hua
kisi ghunche ki tarah dhup mein kumhlaya hua
ek nai chhanw mein sustane ko aa baiTha hun
gardish-e-dahr ke aalam se ghabraya hua
sochta hun ki yahin aaj basera kar lun
subh ke sath kaDi dhup khaDi hai sar par
kyun na is abr ko kuchh aur ghanera kar lun
jaane ye raat akele mein kaTe ya na kaTe
kyun na kuchh der shabistan mein andhera kar lun
lekin is raat ki ye baat na baDh jae kahin
tujh se mil kar ye mere dil ko laga hai dhaDka
rakh ho jaunga main subh se pahle pahle
khul ke sine mein jo ehsas ka shoala bhaDka
Nazm
Andesha
Qateel Shifai