hare-bhare lahraate patton wala peD
indar se kis darja boda kitna khokhla ho sakta hai
mujh se puchho
main ek aise hi chhitnar ke niche baiTha
us ki chhanw se apne safar ki
dhup ka dukhDa phul raha tha
aane wale waqt ki ThanDi gili miTTi rol raha tha
apne aap se bol raha tha
main bhi kitna KHush-qismat hun
jiwan ki sunsan Dagar par
mere kitne yar khaDe hain peD ki surat
itne mein ek jhonka aaya
ye jhonka chandi ki kan ke andar se ho kar aaya tha
ek hi pal mein
peD ki chhaal ne rangat badli
ek hi pal mein
har patte ki shakl hui maTyali gadli
shan shan karti shaKHon mein ek zahrili sargoshi jagi
chhanw chhaT kar peD ke tan ki jaanib bhagi
dil ye manzar dekh ke sahma kanpa roya
chaaron aur se uThti ek anjaane dukh ki dhul mein khoya
zahar sa ek rag rag mein samaya
itne mein ek aur jhumta jhonka aaya
ye jhonka KHud-gharzi ke kohsar pe manDla kar aaya tha
bas itna hi yaad hai mujh ko
kaise aur kab peD gira ye peD se puchho
mujhe nikalo
us bude aur khokhle peD ke niche dab kar
mere sath mera ehsas bhi mar jaega
jo bhi ye manzar dekhega Dar jaega
dekhne walon ko is KHauf se is sadme is gham se bacha lo
mujhe nikalo
aainda main chhitnar ko apna yar nahin samjhunga
kabhi kabhi mil jaane wali chhanw ko pyar nahin samjhunga
Nazm
An-jaana dukh
Zuhoor Nazar