markaz-e-ilm-o-hunar mai-kada-e-soz-o-saz
sajda-e-shauq se aabaad hai rindon ka haram
jam-dar-jam hai sahba-e-junun-e-hikmat
dekhna ho to koi dekh le saqi ka karam
mai-gusari ka ye andaz na dekha hum ne
sab ke dukh dard ka ehsas nashe ka aalam
ek hi aag se har ruh jala pati hai
ho gae ek hi shoale mein sharare mudgham
apne har daur ki tahrik ka aaina liye
phir uThata hai ali-gaDh nai duniya mein qadam
rah dushwar mein ek kafila-e-nikhat-o-nur
sang-e-KHara ki chaTanon ke muqabil hai khaDa
TuT jaega bahut jald tilism-e-imroz
nur-e-farda ke tabassum mein badal jaega
Nazm
Ali-gaDh uniwersity
Anjum Azmi