ham-nashin raat ki maghmum KHamoshi mein mujhe
dur kuchh dhimi si naghmon ki sada aati hai
jaise jati hui afsurda jawani ki pukar
jis ko sun sun ke meri ruh laraz jati hai
jaise ghaTti hui maujon ka utarta hua shor
mutriba jaise koi dur nikal jati hai
ya hawaon ka tarannum kisi virane mein
jaise tanhai mein doshiza koi gati hai
main bahut ghaur se naghmat suna karta hun
sach to ye hai ki meri jaan pe ban jati hai
bar bar uTh ke main jata hun sadaon ki taraf
lekin ek shai hai jo wapas mujhe le aati hai
chaunk uThta hun jab us KHwab se hairan ho kar
phir mujhe dusri duniya hi nazar aati hai
aah, wo bhuk ke mare hue afrad hansen
jin ki surat pe qanaat bhi taras khati hai
jaise ujDi hui mahfil ke kuchh afsurda charagh
raushni mein jinhen har gam pe Thukraati hai
aah wo hazrat-e-insan hi ka dard o sitam
jis ka izhaar bhi karte hue sharm aati hai
wo tarane jo suna karta hun tanhai mein
un taranon mein mujhe bu-e-wafa aati hai
gaunga naghme wo tamir-e-mohabbat ke liye
mai-kada chhoD diya jin ki ishaat ke liye
Nazm
Ali-gaDh chhoDne ke baad
Shakeel Badayuni