jaanan! kya ye ho sakta hai
aaj ki sham kahin nahin jaen
shor machane wale fite
aawazon se bhare tawe
sab thoDi der ko chup ho jaen
jaanan! kya ye ho sakta hai
is pyari mashrub ke paimane bhi na chhalken
jin ke bal-bute pe hamari KHush-aKHlaqi
aam hui hai
aur na mauzuat ke lawe munh se ublen
aise log ki jin ke chehre bahut baDe aur dil chhoTe hain
aaj hamein surat na dikhaen
thoDi der ko tanhai ki halki KHunki basi rahe
log gharon mein aur botal almari hi mein saji rahe
hum donon us kamre mein hon
jis ki diwaron pe hamare sukh ke bandhan
taswiron ki shakl mein aawezan rahte hain
jis mein rakkhe kaTh ke ghoDe
koT ke hathi
sab hum ko takte rahte hain
jis mein baiThi kanch ki chiDiyan
hum ko dekh ke Dar si gai hain
jis mein rakkhi kai kitaben
hum se ruTh ke mar si gai hain
hum donon tanha hon
thoDi der ko gum-sum se baiThen
phir rafta rafta baat-chit ke
chhoTe chhoTe phul khilen
qurbat ki garmi se pashemani ke aansu
diye ki tarah se jal uTThen
jaanan kya ye ho sakta hai
ab bhi mera dil kahta hai
shayad aisa ho sakta hai
Nazm
Alif aur be ke nam
Zehra Nigaah