yun to diye namnak mein
aks-e-kashida hadsat-o-waqiat ki
apni koi ahmiyat nahin hoti
lekin
munakis zehn ghaur zarur karta hai
KHud se sawal karta hai
KHud ko jawab deta hai
aur
apne jawab ko sach sabit karne ke liye
dalilen pesh karta hai
lekin
main ek shair hun ek aaina hun
samaj ka aaina
mere daere mein aane wale
wajud ko mahfuz karna
meri fitrat hai
ye wajud
meri aankhon mein nami jaisi
mere honTon pe hansi jaisi
koi chiz rakh deta hai
phir bhi mere liye ye zaruri nahin
ki main
apne baatin mein kashida
wajud ke difaa mein dalil dun
mujhe chhupane ka iKHtiyar hai
aap samajhne ke liye aazad hain
Nazm
Aks-bar-aks
Afroz Alam