اردو हिंदी
Akele kamre mein | Shaahi Shayari
akele kamre mein

Nazm

Akele kamre mein

Kafeel Aazar Amrohvi

;

abhi se un ke liye itni be-qarar na ho
kiya hai mujh ko bahut be-qarar chheDa hai

tumhaare sher suna kar tumhaare sar ki qasam
saheliyon ne mujhe bar bar chheDa hai

kashish nahin hai tumhaare bina bahaaron mein
ye chhat ye chand sitare udas lagte hain

chaman ka rang nasim-e-sahar gulab ke phul
nahin ho tum to ye sare udas lagte hain

KHabar suni hai kabhi jab tumhaare aane ki
main aaine mein dulhan ban ke muskurai hun

gai hun daman-e-dil ko KHushi se bharne magar
jahan bhar ki udasi sameT lai hun

kahin pe gae gae hain jo git babul ke
to ajnabi se KHayalon mein kho gai hun main

tumhaari yaad ke sine pe bar-ha 'azar'
tasawwuraat ka sar rakh ke so gai hun main

tumhein yaqin na hoga akele kamre mein
main apni jaan se pyare KHutut paDhti hun

tamam raat tumhein yaad karti rahti hun
tamam raat tumhaare KHutut paDhti hun

tum aa bhi jao ki guzre hue dinon ki tarah
sulag na jaen kahin hasraton ki taswiren

udas pa ke na chheDen saheliyan mujh ko
badal bhi do meri tanhaiyon ki taqdiren