akele hone ka KHauf
hamein ye ranj tha
jab bhi mile
chaaron taraf chehre shanasa the
hujum-e-rahguzar bahon mein bahen Dal kar chalne nahin deta
kahin jaen
taaqub karte sae gher lete hain
hamein ye ranj tha
chaaron taraf ki raushni bujh kyun nahin jati
andhera kyun nahin hota
akele kyun nahin hote
hamein ye ranj tha
lekin ye kaisi duriyan
tarik sannaTe ki is saat mein
apne darmiyan phir se chali aain
Nazm
Akele hone ka KHauf
Zehra Nigaah