ai hama-rang hama-nur hama-soz-o-gudaz
bazm-e-mahtab se aane ki zarurat kya thi
tu jahan thi usi jannat mein nikharta tera rup
is jahannam ko basane ki zarurat kya thi
ye KHad-o-KHal ye KHwabon se tarasha hua jism
aur dil jis pe KHad-o-KHal ki narmi bhi nisar
KHar hi KHar sharare hi sharare hain yahan
aur tham tham ke uTha panw bahaaron ki bahaar
tishnagi zahr bhi pi jati hai amrit ki tarah
jaane kis jam pe ruk jae nigah-e-masum
Dubte dekha hai jin aankhon mein mai-KHana bhi
pyas un aankhon ki bujhe ya na bujhe kya malum
hain sabhi husn-parast ahl-e-nazar sahib-e-dil
koi ghar mein koi mahfil mein sajaega tujhe
tu faqat jism nahin sher bhi hai git bhi hai
kaun ashkon ki ghani chhanw mein gaega tujhe
tujh se ek dard ka rishta bhi hai bas pyar nahin
apne aanchal pe mujhe ashk baha lene de
tu jahan jati hai ja, rokne wala main kaun
apne raste mein magar shama jala lene de
Nazm
Ajnabi
Kaifi Azmi