asia ke dur-uftada shabistanon mein bhi
mere KHwabon ka koi ruman nahin!
kash ek diwar-e-zulm
mere un ke darmiyan hail na ho!
ye imaraat-e-qadim
ye KHayaban, ye chaman, ye lala-zar,
chandni mein nauha-KHwan
ajnabi ke dast-e-ghaarat-gar se hain
zindagi ke in nihan-KHanon mein bhi
mere KHwabon ka koi ruman nahin!
kash ek diwar-e-rang
mere un ke darmiyan hael na ho!
ye siyah-paikar barahna rah-rau
ye gharon mein KHub-surat auraton ka zahr-e-KHand
ye guzargahon pe dew-asa jawan
jin ki aankhon mein gurisna aarzuon ki lapak
mushtail be-bak mazduron ka sailab-e-azim!
arz-e-mashriq, ek mubham KHauf se larzan hun main
aaj hum ko jin tamannaon ki hurmat ke sabab
dushmanon ka samna maghrib ke maidanon mein hai
un ka mashriq mein nishan tak bhi nahin!
Nazm
Ajnabi aurat
Noon Meem Rashid