ajib qissa hai
jab ye duniya samajh rahi thi
tum apni duniya mein ji rahi ho
main apni duniya mein ji raha hun
to hum ne sari nigahon se dur
ek duniya basai thi
jo ki meri bhi thi
tumhaari bhi thi
jahan fazaon mein
donon ke KHwab jagte the
jahan hawaon mein
donon ki sargoshiyan ghuli thin
jahan ke phulon mein
donon ki aarzu ke sab rang
khil rahe the
jahan pe donon ki juraton ke
hazar chashme ubal rahe the
na waswase the na ranj-o-gham the
sukun ka gahra ek samundar tha
aur hum the
ajib qissa hai
sari duniya ne
jab ye jaana
ki hum ne sari nigahon se dur
ek duniya basai hai to
har ek abru ne jaise hum par kaman tani
tamam peshaniyon pe ubhrin
gham aur ghusse ki gahri shiknen
kisi ke lahje se talKHi chhalki
kisi ki baaton mein turshi aai
kisi ne chaha
ki koi diwar hi uTha de
kisi ne chaha
hamari duniya hi wo miTa de
magar zamane ko haarna tha
zamana haara
ye sari duniya ko manna hi paDa
hamare KHayal ki ek si zamin hai
hamare KHwabon ka ek jaisa hi aasman hai
magar purani ye dastan hai
ki hum pe duniya
ab ek arse se mehrban hai
ajib qissa hai
jab ki duniya ne
kab ka taslim kar liya hai
hum ek duniya ke rahne wale hain
sach to ye hai
tum apni duniya mein ji rahi ho
main apni duniya mein ji raha hun!
Nazm
Ajib qissa hai
Javed Akhtar