ainak ke shishe par sarakti chyunTi
aage ke panw upar hawa mein uTha kar
pichhle panw par khaDi
hinhinati hai ghoDe ki tarah
ainak ke niche dabe aKHbar mein
do hawai jahaz Takra jate hain
musafiron se ladi ek kashti ulaT jati hai
ek bas khai mein gir paDti hai
panch buDhe faqir sardi se mar jate hain
koila-kan mein pani bhar jata hai
radio pukarta hai pachchis paise mein tin
ainak ka shisha saf karti chyunTi
aahista se aage baDh jati hai
Nazm
Ainak ke shishe par
Adil Mansuri