ek KHwab ki aahaT se yun gunj uThin galiyan
ambar pe khile tare baghon mein hansen kaliyan
sagar ki KHamoshi mein ek mauj ne karwaT li
aur chand jhuka us par
phir baam hue raushan
khiDki ke kiwaDon par saya sa koi larza
aur tez hui dhaDkan
phir TuT gai chuDi, ujaDne lage manzar
ek dast-e-hinai ki dastak se khula dil mein
ek rang ka darwaza
KHushbu si ajab mahki
koyal ki tarah koi be-nam tamanna si
phir dur kahin chahki
phir dil ki surahi mein ek phul khila taza
jugnu bhi chale aae sun sham ka aawaza
aur bhanwre hanse mil kar
har ek sitare ki aankhon mein ishaare hain
us shaKHs ke aane ke
ai waqt zara tham ja
aasar ye sare hain us shaKHs ke aane ke
Nazm
Ai waqt zara tham ja
Amjad Islam Amjad