bain karne walon ne
mujhe adh khule hath se qubul kiya
insan ke do janam hain
phir sham ka maqsad kya hai
main apni nigrani mein rahi aur kam hoti chali gai
kutton ne jab chand dekha
apni poshak bhul gae
main sabit qadam hi TuTi thi
ab tere bojh se dhans rahi hun
tanhai mujhe shikar kar rahi hai
ai mere sar-sabz KHuda
KHizan ke mausam mein bhi main ne tujhe yaad kiya
qatil ki saza maqtul nahin
ghaib ki jangali-bel ko ghar tak kaise laun
phir aankhon ke TaT pe main ne likkha
main aankhon se marti
tu qadmon se zinda ho jati
Nazm
Ai mere sar-sabz KHuda
Sara Shagufta