اردو हिंदी
Ai ju-e-ab | Shaahi Shayari
ai ju-e-ab

Nazm

Ai ju-e-ab

Mahmood Ayaz

;

tamam umr ke sud o ziyan ka bar liye?
har inqalab zamane se munh chhupae hue

hayat o marg ki sarhad pe nim-KHwabida
main muntazir tha

masarrat ki koi dhundli kiran
zaman makan se pare ajnabi jaziron se

dam-e-sahar mujhe KHwabon mein DhunDti aae
fishaar-e-waqt ki sarhad se dur le jae

khuli jo aankh
tulu-e-sahar ne hans ke kaha

hisar-e-waqt se aage koi maqam nahin
samajh sako, to zaman o makan ki qaid nahin

samajh sako
to yahi zat be-karan bhi hai