ai farangi kabhi socha hai ye dil mein tu ne
aur ye soch ke kuchh tujh ko haya bhi aai
na-mubarak tha bahut hind mein aana tera
qaht aaya tere ham-rah waba bhi aai
tere qadmon se lagi aai ghulami zalim
sath hi us ke gharibon ki bala bhi aai
ban gai baad-e-sumum aah asar se tere
is chaman mein jo kabhi baad-e-saba bhi aai
teri culture mein chamak to hai magar is mein nazar
kabhi kuchh roshni-e-sidq-o-safa bhi aai
yahi culture sabab-e-pasti-e-aKHlaq hui
hindiyon mein isi culture se riya bhi aai
ja-e-shukr is mein shikayat teri be-dad ki thi
gham-nasibon ko agar yaad-e-KHuda bhi aai
teri sanginen chamakne lagin saDkon pe jun-hi
lab pe mazlumon ke fariyaad zara bhi aai
dard-e-iflas ka nezon se kiya to ne ilaj
maut ban kar tere hathon mein shifa bhi aai
is rawish par kabhi ai bani-e-be-dad tujhe
dil ke andar se malamat ki sada bhi aai
Nazm
Ai farangi
Mela Ram Wafa