ai dil hum tanha aaj bhi hain
in zaKHmon se
in daghon se
ab apni baaten hoti hain
jo zaKHm ki surKH gulab hue
jo dagh ki badr-e-munir hue
is tarah se kab tak jina hai
main haar gaya is jine se
koi abr uThe kisi qulzum se
ras barse mere virane par
koi jagta ho koi kuDhta ho
mere der se wapas aane pe
koi sans bhare mere pahlu mein
aur hath dhare mere shane par
aur dabe dabe lahje mein kahe
tum ne ab tak baDe dard sahe
tum tanha tanha chalte rahe
tum tanha tanha jalte rahe
suno tanha chalna khel nahin
chalo aao mere hamrah chalo
chalo nae safar par chalte hain
chalo mujh ko bana ke gawah chalo
Nazm
Ai dil pahle bhi hum tanha the
Saqi Faruqi