mile to hum aaj bhi hain lekin
na mere dil mein wo tishnagi thi
ki tujh se mil kar kabhi na bichhDun
na aaj tujh mein wo zindagi thi
ki jism-o-jaan mein ubaal aae
na KHwab-zaron mein raushni thi
na meri aankhen charagh ki lau
na tujh mein hi KHud-supurdagi thi
na baat karne ki koi KHwahish
na chup hi mein KHub-surati thi
mujassamon ki tarah the donon
na dosti thi na dushmani thi
mujhe to kuchh yun laga hai jaise
wo saaten bhi guzar gai hain
ki jin ko hum la-zawal samjhe
wo KHwahishen bhi to mar gai hain
jo tere mere lahu ki hiddat
ko aaKHirash barf kar gai hain
mohabbaten shauq ki chaTanon
se ghaTiyon mein utar gai hain
wo qurbaten wo judaiyan sab
ghubar ban kar bikhar gai hain
agar ye sab kuchh nahin to batla
wo chahaten ab kidhar gai hain
Nazm
Agar ye sab kuchh nahin
Ahmad Faraz