اردو हिंदी
Agar KHuda mil gaya mujhko | Shaahi Shayari
agar KHuda mil gaya mujhko

Nazm

Agar KHuda mil gaya mujhko

Abu Bakr Abbad

;

ye sochta hun jo
KHuda kabhi didar baKHshega

aur apne fazl se dega ijazat mangne ki kuchh
to na dastar-o-qaba na jibh-o-KHirqa

na daulat na mahal na sar pe taj mangunga
na ohda-o-mansab na koi jah-o-jalal

na ilm-o-agahi na masnad na eqtidar mangunga
farawani gham se najat na farigh-ul-baali

na sehat na shifa na achchhi maut mangunga
na takmil-e-arzu ki dua na nafs-e-mutmainna ki

na umr-e-KHizr na shohrat na KHwab ki tabir mangunga
na dushmanon ke zarar se na shar se doston ke

na kibr-sini na zoaf na lachaari se panah mangunga
na duniya jahan ki KHushiyan na shan-o-shaukat hi

na KHush-nasibi na dil ka chain na sukun-e-ruh mangunga
na KHush-gawar raaten na tul-e-shabab na nind na aaghosh-e-mahbub

na saman-e-aish-o-tarab na hur-o-qusur mangunga
na ruswai se bachne ki na izzat aabru ki KHwahish hai

na shohrat-o-maqbuliyat na achchhi image mangunga
na qarz ke bojh na KHauf na dahshat se

na kisi ke jabr se na zulm se hifazat ki dua mangunga
ab aap sochte honge

ki ye bawla ye diwana ye pagal shaKHs
na jaane aaKHir KHuda se kya mangega

so mere hamdam mere dosto mere yaro
zara qarib aao aao bataun raaz tumhein dukhi dil ka

main KHuda-e-qadir-e-mutlaq rahim-o-akram se
junun-e-mazhabi ke KHatme aur amn ki faza mangunga