aariz-e-gul pe larazti hui bekal shabnam
muntazir hai ki chale baad-e-sahar
koi jhonka
koi suraj ki kiran
pas aa jae to afsana-e-shab-rang sune
naghma-e-zahra-o-nahid ki jhankar sune
barbat-e-salma ke taron ki sada-e-dilkash
aabshaaron ki nida
KHarzaron ki sada
phul ke dil ki jalan sozish-e-mahtab ka haal
Dubte taron ke KHamosh nigahon ka payam
nala-e-nim-shabi
aah-e-dil-e-zar ka haal
aalam-e-ishq-o-mohabbat ki hikayat sune
pas aa jae to afsana-e-shab-rang sune
aur dekhe kisi shair ke falak-bos mahal
kis tarah chand-sitaron ko janam dete hain
kis tarah aariz-e-gulgun ko rida-e-shabnam
Dhanp leti hai siyah-raat ke sannaTe mein
Nazm
Afsana-e-shab-rang
Fareed Ishrati