aa jao ne sun li tere Dhol ki tarang
aa jao mast ho gai mere lahu ki tal
aa jao africa
aa jao main ne dhul se matha uTha liya
aa jao ne chhil di aankhon se gham ki chhaal
aa jao mein ne dard se bazu chhuDa liya
aa jao main ne noch diya be-kasi ka jal
aa jao africa
afriqi KHidmat pasandon ka nara
panje mein hathkaDi ki kaDi bin gai hai gurz
gardan ka tauq toD ke Dhaali hai main ne Dhaal
aa jao africa
chalte hain har kachhaar mein bhaalon ke marg nain
dushman lahu se raat ki kalak hui hai lal
aa jao africa
dharti dhaDak rahi hai mere sath africa
dariya thirak raha hai to ban de raha hai tal
main africa hun dhaar liya main ne tera rup
main tu hun meri chaal hai teri babbar ki chaal
aa jao africa
aao babbar ki chaal
aa jao africa
Nazm
Africa come-back
Faiz Ahmad Faiz