kal bhi meri pyas pe dariya hanste the
aaj bhi mere dard ka darman koi nahin
main is dharti ka adna sa basi hun
sach puchho to mujh sa pareshan koi nahin
kaise kaise KHwab bune the aankhon ne
aaj bhi un KHwabon sa arzan koi nahin
kal bhi mere zaKHm bhunae jate the
aaj bhi mere hath mein daman koi nahin
kal mera nilam kiya tha ghairon ne
aaj to mere apne beche dete hain
sach puchho to meri KHata bas itni hai
main is dharti ka adna sa basi hun
Nazm
Adna sa basi
Waseem Barelvi