yahan har taraf hain adakar chehre 
main rudad dil ki kise kya bataun 
jo KHwab-e-musalsal hi arman hai mera 
wahi KHwab TuTa wahi pyar ruTha 
manazir ne rang apne sab kho diye hain 
wo jab se KHafa hai kise kya bataun 
zaban chup hai lekin sarapa-bayan hun 
ye dil ki lagi hai kise kya bataun
        Nazm
Adakar chehre
Sabeela Inam Siddiqui

