shab-e-zafaf-e-abu-lahab thi magar KHudaya wo kaisi shab thi
abu-lahab ki dulhan jab aai to sar pe indhan gale mein
sanpon ke haar lai na us ko mashshatgi se matlab
na mang ghaza na rang roghan gale mein sanpon
ke haar us ke to sar pe indhan
KHudaya kaisi shab-e-zafaf-e-abu-lahab thi
ye dekhte hi hujum biphra bhaDak uThe yun ghazab
ki shole ke jaise nange badan pe jabir ke taziyane
jawan laDkon ki taliyan thi na sehan mein shoKH
laDkiyon ke thirakte panw thirak rahe the
na naghma baqi na shadyane
abu-lahab ne ye rang dekha lagam thami lagai
mahmez abu-lahab ki KHabar na aai
abu-lahab ki KHabar jo aai to sal-ha-sal ka zamana
ghubar ban kar bikhar chuka tha
abu-lahab ajnabi zaminon ke lal o gauhar sameT kar
phir watan ko lauTa hazar tarrar o tez aankhen purane
ghurfon se jhank uTThin hujum pir o jawan ka
gahra hujum apne gharon se nikla abu-lahab ke julus
ko dekhne ko lapka
abu-lahab ek shab-e-zafaf-e-abu-lahab ka jala
phaphula KHayal ki ret ka bagula wo ishq-e-barbaad
ka heyula hujum mein se pukar uTThi abu-lahab
tu wahi hai jis ki dulhan jab aai to sar pe indhan
gale mein sanpon ke haar lai
abu-lahab ek lamha ThiThka lagam thami lagai
mahmez abu-lahab ki KHabar na aai
Nazm
Abu-lahab ki shadi
Noon Meem Rashid