اردو हिंदी
Abhi wo ek din ka bhi nahin | Shaahi Shayari
abhi wo ek din ka bhi nahin

Nazm

Abhi wo ek din ka bhi nahin

Nasreen Anjum Bhatti

;

abhi wo ek din ka bhi nahin
bhaTTi se miTTi ki nasl aag ka nam puchhti aur

gili chhanw tale so na na jati to qaidi qaidi na jante kaliyan khultin ya mausam raha hote ya kuchh aur
hota magar yun hua ki is ke mere darmiyan ek pal TuT gaya

us ke mere darmiyan ek titli bhaDakti phirti hai
us ke mere darmiyan ek rah musafir hai

us ke mere darmiyan bahut se lafz TuTe hue pyalon ke kunDon ki tarah
ek dusre mein aTke hue hain

so main ne aaj ka din bhi zaea hone ke liye diwar par Dal diya
chundhyai hui chiDiya dar par kawwa kis ke mazar ki miTTi liye

mere aangan mein dhup dhone aa nikli hai
uDne mein kuchh der lagegi

par gile hain chhaten unchi hain darmiyan mein dhuan
dhup sameT aur bikher raha hai

aao mujhe riha karo mere paron se gili miTTi chimTi hui hai
mujhe uDne ka izn do ki main ne so rahne ka gunah kiya

suraj kamane ab chhanw na hone dena
main ne mara hua jhuT jana mujhe aur sone na dena ki abhi mujhe sach bolna hai