saf-e-matam bichhi hai
suKHan ka aaKHiri dar band hone ki KHabar ne
khiDkiyon ke par baiThe ghamgusaron ko
ye kaisi chup laga di hai
ye kis ki na-gahani maut par sargoshiyon ki aag raushan hai
kisi ke kunj-e-lab se koi tara mere dil par aan paDta hai
bura ho maut ka jis ne mere fariyaad-ras ki jaan le li hai
abhi us ki zarurat thi
main is duniya ke ek goshe mein baiTha sochta hun
aaj is viran manDli mein
main kis ko pursa dene ke liye aaya hun
mujh ko taziyat to KHud se karna thi
abhi is ghar se ek mayyat sidhaari hai
dam-e-ruKHsat
kisi ne nikhat-e-zulf-e-pareshan ka nahin pucha
kisi ne dukh ke andar raushni ki chhab nahin dekhi
makan se phuTne wali rawish par
ek bachcha ro raha hai
aaj us ke aansuon ko kaun ponchhega
ki us ke sath jo shatranj ki bazi lagata tha
wo ab zer-e-zamin ek chadar-e-sada ki KHushbu hai
yahan subhen bhi aaengi
yahan shamen bhi utrengi
magar ek hichkiyan leta hua bachcha
charagh-e-arzu ban kar
sar-e-taq-e-lahad gungi zamin ki lab-kushai tak pukare ga
bura ho maut ka jis ne mere fariyaad-ras ki jaan le li hai
Nazm
Abhi uski zarurat thi
Abbas Tabish