ab to kuchh aisa lagta hai
sara jag mujh se chhoTa hai
aankhen bhi meri bojhal bojhal
shanon par bhi kuchh rakkha hai
katib-e-waqt ne jate jate
chehre par kuchh likh sa diya hai
aaine mein chehra khole
dekh rahi hun kya likhkha hai
likhkha hai tere rup ka haala
aur kisi ke gird saja hai
likhkha hai zulfon ka do-shaala
aur kisi ne oDh liya hai
likhkha hai aankhon ka piyala
kahin kahin se TuT raha hai
paDh kar mushaf-e-ruKH ki ibarat
dil ko itminan hua hai
ruh talak sarshaar hai meri
aaina hairan hua hai
us ko shayad ilm nahin hai
mera daman ab bhi bhara hai
jo rakhna tha rakkhe hue hun
jo dena tha banT diya hai
Nazm
Ab to kuchh aisa lagta hai
Zehra Nigaah