ek Dar tha tanhai ka
ek Dar tha judai ka
jo musalsal mere sath rahta tha
kal ka din jo guzar gaya
bahut bhaari lagta tha
lagta tha kisi aise din ka bojh uTha na paungi
aadhe-adhure raste mein hi mar jaungi
magar kal ka din bhi aa hi gaya
aur ret ka wo gharaunda sath hi baha le gaya
jis mein rakhe the main ne
rang-ba-rang ke pyare patthar
titliyon ke par aur mor ke pankh
phulon ke sab rang
aur aasman ki dhanak
gilahri ka adh khaya aKHroT
man ke paron tale baiThe murghabi ke bachche
us gharaunde par utri dhup jis ne mujh se mera saya juda kar diya tha
kal jab wo sab be-rahm waqt ki maujon ke sath bah gaya
aur chaar-su qabr jaisa andhera phail gaya
to safed dhup jate jate ek ehsan kar gai
wo mujh ko mera saya lauTa gai
aur main marte marte bach gai warna
main to aise kal mein mar hi jati
aawazon ke bichhaDne se

Nazm
Ab Dar nahin lagta
Robeena Faisal