zinda rahna sikh kar bhi main ne shayad
zindagi ko durd-e-tah tak
pi ke jine ki kabhi koshish nahin ki!
pyas thi pani nahin tha
sabr se shukr-o-raza ke band hujron mein bandha
baiTha raha aur halq mein jab pyas ke kanTe chubhe to
sah gaya main!
mere ghar walon ne, mere biwi bachchon ne bhi
jalte honT si kar pyas ke kanTon ko sahne
sabr se shukr-o-raza ke band hujron mein
taDapne ka sabaq sikha mujhi se
ye sarasar buz-dili thi, un se dhoka tha
ki main ne KHud ko pahchana nahin tha!
main bhi musa ki tarah
ghusse mein apni aastinon ko chaDhata
aur asa ki ek kari choT se
chaTTan ke TukDe agar karta
to shayad bazyabi ke amal mein mujh pe khulta
rahbari ka fan nubuwwat ka karishma
pyas se halkan logon ke liye pani ka chashma
aazmaish shart thi
main ne kabhi puri nahin ki
Nazm
Aazmaish shart thi
Satyapal Anand