ye sach hai ab aazad hain hum
miTTi se sugandh ye aati hai
ai jaan se pyare ham-watano
abhi kaam bahut kuchh baqi hai
aazadi pahli manzil thi
tha hausla sab ne sath diya
kanTon se bhare in raston ko
zaKHmi pairon se par kiya
aage dekha mahbub-e-nazar
baiTha wo hamara saqi hai
ai jaan se pyare ham-watano
abhi kaam bahut kuchh baqi hai
ye desh bana qurbani se
jaanen qurban huin kitni
aankhon mein mulk ka naqsha tha
parwah unhen kab thi apni
taKHton pe khaDe ho kar jab bhi
phuli dekha har chhati hai
ai jaan se pyare ham-watano
abhi kaam bahut kuchh baqi hai
jab Dhol nagaDe bajte the
hum jujhte the band kamron mein
mansubon par mansube the
ganw ke wo hon ya shahron ke
hum thake nahin baDhte hi chale
ki aage hamara sathi hai
ai jaan se pyare ham-watano
abhi kaam bahut kuchh baqi hai
ye desh bana ek gul-dasta
badnam na hone denge ise
mazhab ke nam pe banTne ka
jo kaam kare bas roko use
gar shurua hui KHana-jangi
phir kahe ki aazadi hai
ai jaan se pyare ham-watano
abhi kaam bahut kuchh baqi hai
hai mulk baDa to masle hain
hal hone hain hal honge bhi
dil haarna shobha deta nahin
aae chahe sau mushkil bhi
bas khoT nahin ho niyyat mein
ye hua to phir barbaadi hai
ai jaan se pyare ham-watanon
abhi kaam bahut kuchh baqi hai
bas ek guzarish hai tum se
jab qadam uThen har qaum ho sath
bhulen mazhab aur jati ko
ho dil mein desh hathon mein hath
tab pata chale is duniya ko
yahan ab bhi nehru gandhi hai
ai jaan se pyare ham-watanon
abhi kaam bahut kuchh baqi hai

Nazm
Aazadi ka haq
Ozair Rahman