اردو हिंदी
Aazad shahri: ek taaruf | Shaahi Shayari
aazad shahri: ek taaruf

Nazm

Aazad shahri: ek taaruf

Kumar Pashi

;

wo marne pe raazi nahin tha
baDa DhiT tha

shahi farman par
us ne apni zaban kaT li thi

wo aankhon se andha tha kanon se bahra
use apne chaaron taraf dekhne ki ijazat nahin thi

samaat pe pabandiyan thin
magar shahi dastur mein

zikr aisi kisi baat ka bhi nahin tha
wo aazad tha apne ghar ki hadon tak

badan ki tahon tak
wo aadha-adhura tha dil us ka

gahre azabon se KHali nahin tha
suna hai: wo is par bhi

marne par raazi nahin tha
wo KHush tha ki us mulk ke shahi dastur mein

us ko aazad likkha gaya tha