aaj phir us se mulaqat hui
bagh ke maghribi goshe mein jhuke nim ke chhitnar tale
ek bad-rang si chadar pe wo baiTha tha mujhe dekh ke sarshaar hua
bhai kaise ho! nazar tum kabhi aate hi nahin
aao kuchh der mere pas to baiTho dekho
kaisa chup-chap hai ye bagh ka gosha jaise
kisi mawwaj samundar mein jazira koi
dur wo surmai baadal ki farozan jhaalar
jaise han jaise magar KHair koi baat nahin
aao tum pas to baiTho mere
aur main chupke se chadar pe wahin baiTh gaya
us ke honTon se utarte hue alfaz ki chahkar mein ta-der main KHamosh raha
kaisi chahkar thi wo KHushk peDon mein hawa ka nauha
jaise girte hue patton ki lagatar sada
dafatan soch ke ek ajnabi jhonke ne mujhe chheD diya
jaane kab se ye musafir hai jazire mein muqayyad tanha
muntazir aaegi ek roz kahin se naw
baadban abr ka chandi ke chamakte chappu
rasmasati hui ek narm rasili aawaz
tu kahan hai tu kahan hai ki tujhe
DhunDte DhunDte main haar gai haar gai
aur bad-rang si chadar pe wo baiTha hua shaKHs
KHwab mein bolta jata tha siyah basi lafz
us ke sukhe hue honTon se nikal kar har su
jhuTe sikkon ka banate chale jate the hisar
aaj phir us se mulaqat hui
wahin us bagh ke goshe mein jhuke nim ke chhitnar tale
aaj phir us se mulaqat hui
Nazm
Aawezish
Wazir Agha