dabegi kab talak aawaz-e-adam hum bhi dekhenge
rukenge kab talak jazbaat-e-barham hum bhi dekhenge
chalo yunhi sahi ye jaur-e-paiham hum bhi dekhenge
dar-e-zindan se dekhen ya uruj-e-dar se dekhen
tumhein ruswa sar-e-bazar-e-alam hum bhi dekhenge
zara dam lo maal-e-shaukat-e-jam hum bhi dekhenge
ye zoam-e-quwwat-e-faulad-o-ahan dekh lo tum bhi
ba-faiz-e-jazba-e-iman-e-mohkam hum bhi dekhenge
jabin-e-kaj-kulahi KHak par KHam hum bhi dekhenge
mukafat-e-amal tariKH-e-insan ki riwayat hai
karoge kab talak nawak faraham hum bhi dekhenge
kahan tak hai tumhaare zulm mein dam hum bhi dekhenge
ye hangam-e-wida-e-shab hai ai zulmat ke farzando
sahar ke dosh par gulnar parcham hum bhi dekhenge
tumhein bhi dekhna hoga ye aalam hum bhi dekhenge
Nazm
Aawaz-e-adam
Sahir Ludhianvi