ek yahi soz-e-nihan kul mera sarmaya hai
dosto main kise ye soz-e-nihan nazr karun
koi qatil sar-e-maqtal nazar aata hi nahin
kis ko dil nazr karun aur kise jaan nazr karun
tum bhi mahbub mire, tum bhi ho dildar mere
aashna mujh se magar tum bhi nahin, tum bhi nahin
KHatm hai tum pe masiha-nafasi, chaaragari
mahram-e-dard-e-jigar tum bhi nahin tum bhi nahin
apni lash aap uThana koi aasan nahin
dast-o-bazu mere nakara hue jate hain
jin se har daur mein chamki hai tumhaari dahliz
aaj sajde wahi aawara hue jate hain
dard-e-manzil thi, magar aisi bhi kuchh dur na thi
le ke phirti rahi raste hi mein wahshat mujh ko
ek zaKHm aisa na khaya ki bahaar aa jati
dar tak le ke gaya shauq-e-shahadat mujh ko
rah mein TuT gae panw to malum hua
juz mere aur mera rah-numa koi nahin
ek ke baad KHuda ek chala aata tha
kah diya aql ne tang aa ke KHuda koi nahin
Nazm
Aawara sajde
Kaifi Azmi