hazrat aadam pe jo guzri hai sab ko yaad hai
dana-e-gandum ki zinda aaj tak be-dad hai
aaj phir aulad-e-adam par wahi uftad hai
is ka bani bhi farishton ka wahi ustad hai
daur daura aaj is ka chor-bazaron mein hai
maherin-e-chor-bazari ke gham-KHwaron mein hai
un mein dekha is ka jalwa jo zaKHira-baz hain
dafn tah-KHanon mein jin ke boriyon ke raaz hain
boriyon se milte-julte tond ke andaz hain
aur fariyaad-o-buka mein sab ke ham-awaz hain
tond par hai hath aur faqon se haalat zar hai
in ko indhan is jahannam ke liye darkar hai
ho gaya bazar se aaTe ka aisa intiqal
ab khule bazar mein aaTe ka milna hai muhaal
ek zaKHira-baz maulana-numa dukan-dar
qaum ke is ibtila se kal bahut the be-qarar
aah is millat ka kyun gehun pe hai dar-o-madar
kash khati bajra ya kash ye khati jawar
is ke khane ke liye nemat har ek maujud hai
dana-e-gandum bhala kyun gauhar-e-maqsud hai
sach jo puchho to kahun shaitan ka ration hai ye
jis ne jannat luT li insan ka wo dushman hai ye
haif hai insan kar de is par jannat tak nisar
sab ko gandum se bachana ai mere parwardigar
sainkaDon man yun to gehun mere tah-KHane mein hai
aur maza bhi kya mujhe aazar pahchane mein hai
mere hisse ki wahi mai hai jo paimane mein hai
han magar dozaKH jo hai gehun ke parwane mein hai
jis ne gehun kha liya dozaKH mein gole khaega
jis ko jannat chahiye wo sirf chhole khaega
Nazm
AaTa
Shaukat Thanvi