aasafuddaula-e-marhum ki tamir-e-kuhan
jis ki sanat ka nahin safha-e-hasti pe jawab
dekh sayyah use raat ke sannaTe mein
munh se apne mah-e-kaamil ne jab ulTi ho naqab
dar-o-diwar nazar aate hain kya saf-o-subuk
sahar karti hai nigahon pe ziya-e-mahtab
yahi hota hai guman KHak se mas is ko nahin
hai sambhaale hue daman mein hawa-e-shadab
yak-ba-yak dida-e-hairan ko ye shak hota hai
Dhal ke sanche mein zamin par utar aaya hai sahab
be-KHudi kahti hai aaya ye faza mein kyun kar
kisi ustad musawwir ka hai ye jalwa-e-KHwab
ek ajab manzar-e-dil-gir nazar aata hai
dur se aalam-e-taswir nazar aata hai
Nazm
Aasifuddaula ka imambaada lucknow
Chakbast Brij Narayan