koi batlae mujhe
mere in jagte KHwabon ka muqaddar kya hai?
main ki har shai ki baqa jaanta hun
uDte lamhon ka pata jaanta hun
sard aur zard sitaron ki tiqapu kya hai
rang kya chiz hai KHushbu kya hai
subh ka sehr hai kya, raat ka jadu kya hai
aur kya chiz hai aawaz-e-saba jaanta hun
ret aur naqsh-e-qadam mauj ka rum
aankh aur gosha-e-lab zulf ka KHam
sham aur subh ka gham
sab ki qismat hai fana jaanta hun
phir bhi ye KHwab mere sath lage rahte hain
jagte KHwab ki jin ki koi tabir nahin
koi tafsir nahin
surat-e-zaKHm hare rahte hain
mere hathon se pare rahte hain
aagahi jahl se bad-tar Thahri
jagte KHwab ki tabir muqaddar Thahri
zindagi mere liye gumbad-e-be-dar Thahri
main ki aawaz-e-saba jaanta hun
uDte lamhon ka pata jaanta hun
aur har shai ki baqa jaanta hun
Nazm
Aashob-e-agahi
Amjad Islam Amjad