mujhe Daraya gaya tha
bachpan mein ek aaseb se
wo aaseb!
jis ka phulon ke bich ghar tha
wo shoKH phulon ki chhanw mein palne wali KHushbu ka ham-safar tha
mujhe Daraya gaya tha lekin
tawil garmi ki har suhani si dopahar ko
main apni man ki nazar bacha kar
gulabi nindon ki reshmi ungliyan chhuDa kar
dahakte phulon ke darmiyan khelti thi pahron
ajib din the
ki un dinon mein
dahakte phulon ke bich KHushbu ke ham-safar se
meri mulaqat jab hui thi
main Dar gai thi
ki mujh mein bachpan se ajnabi KHauf pal raha tha
mujhe bhi aaseb ho gaya tha
magar ye aaseb!
ab to mujh mein utar raha hai
hasin phulon ke bich KHwabon ke sabz mausam mein
us ke hathon mein hath Dale
main KHushbuon ki tarah hawaon mein uD rahi hun
Nazm
Aaseb
Ishrat Afreen