ek patthar ki adhuri murat
chand tanbe ke purane sikke
kali chandi ke ajab se zewar
aur kai kanse ke TuTe bartan
ek sahra mile
zer-e-zamin
log kahte hain ki sadiyon pahle
aaj sahra hai jahan
wahin ek shahr hua karta tha
aur mujh ko ye KHayal aata hai
kisi taqrib
kisi mahfil mein
samna tujh se mera aaj bhi ho jata hai
ek lamhe ko
bas ek pal ke liye
jism ki aanch
uchaTti si nazar
surKH bindiya ki damak
sarsarahaT teri malbus ki
baalon ki mahak
be-KHayali mein kabhi
lams ka nanha sa phul
aur phir dur tak wahi sahra
wahi sahra ki jahan
kabhi ek shahr hua karta tha
Nazm
Aasar-e-qadima
Javed Akhtar