mere KHwabon ke shabistan mein ujala na karo
ki bahut dur sawera nazar aata hai mujhe
chhap gae hain meri nazron se KHad-o-KHal-e-hayat
har taraf abr ghanera nazar aata hai mujhe
chand tare to kahan ab koi jugnu bhi nahin
kitna shaffaf andhera nazar aata hai mujhe
koi tabinda kiran yun mere dil par lapki
jaise soe hue mazlum pe talwar uThe
kisi naghme ki sada gunj ke yun tharrai
jaise TuTi hui pazeb se jhankar uThe
main ne palkon ko uThaya bhi to aansu pae
mujh se ab KHak jawani ka koi bar uThe
tum ne raaton mein sitare to TaTole honge
main ne raaton mein andhere hi andhere dekhe
tum ne KHwabon ke paristan to sajae honge
main ne mahaul ke shab-rang pharere dekhe
tum ne ek tar ki jhankar to sun li hogi
main ne giton mein udasi ke basere dekhe
mere gham-KHwar mere dost tumhein kya malum
zindagi maut ke manind guzari main ne
ek bigDi hui surat ke siwa kuchh bhi na tha
jab bhi haalat ki taswir utari main ne
kisi aflak-nashin ne mujhe dhutkar diya
jab bhi roki hai muqaddar ki sawari main ne
mere gham-KHwar mere dost tumhein kya malum!
Nazm
Aap-biti
Qateel Shifai