mere pahlu mein jo bah nikle tumhaare aansu
ban gae sham-e-mohabbat ke sitare aansu
dekh sakta hai bhala kaun ye pare aansu
meri aaankhon mein na aa jaen tumhaare aansu
shama ka aks jhalakta hai jo har aansu mein
ban gae bhigi hui raat ke tare aansu
meinh ki bundon ki tarah ho gae saste kyun aaj
motiyon se kahin mahnge the tumhaare aansu
saf iqrar-e-mohabbat ho zaban se kyunkar
aankh mein aa gae yun sharm ke mare aansu
hijr abhi dur hai main pas hun ai jaan-e-wafa
kyun hue jate hain bechain tumhaare aansu
subh-dam dekh na le koi ye bhiga aanchal
meri chughli kahin kha den na tumhaare aansu
apne daman o gareban ko main kyun pesh karun
hain mere ishq ka inam tumhaare aansu
dam-e-ruKHsat hai qarib ai gham-e-furqat KHush ho
karne wale hain judai ke ishaare aansu
sadqe us jaan-e-mohabbat ke main 'aKHtar' jis ke
raat bhar bahte rahe shauq ke mare aansu
Nazm
Aansu
Akhtar Shirani