اردو हिंदी
Aankhen meri kya DhunDti hain | Shaahi Shayari
aankhen meri kya DhunDti hain

Nazm

Aankhen meri kya DhunDti hain

Badnam Nazar

;

aankhen meri kya DhunDhti hain
pani mein ya chaTTanon mein

shabnam ke nanhe qatron mein
barudi dahakte shoalon mein

gulzaron mein
ya banjar registanon mein

mahfil mein tanhai mein
dusron ki angnai mein

nazmon ke tikha-pan mein
ghazlon ki ranai mein

mai-KHwanon ke band kiwaDon ke pichhe
mandir mein chaDhae phulon mein

masjid ke KHali musalla par
marghaT mein qabristanon mein

bazaron mein viranon mein
dasht se kanpte honTon par

wahshat se lapakte jazbon par
bosida kachchi kholi mein

unche unche aiwanon mein
munsif ke phisalte qalamon par

mulzim ki larazti sanson mein
insaf ki andhi dewi mein

ya jhul rahe mizanon mein
bachchon ki taDapti lashon mein

maon ki bhi mamta mein
aankhen meri usi chehre ki mutalashi hain

jis chehre mein wo rahti thin
wo chehra jo ab KHud ko bhi pahchanne se qasir hai 'nazar'

aankhen us ko kya DhunDengi