hamein har khel mein har baat par
ai mat ke KHwahan
kabhi khinchenge hum bagen
jununi sar-phiri andhi hawaon ki
uDaenge falak par
chand taron se bane rath ko
phir aaenge tujhe hamrah karne
surmai dhundle jaziron se
sunahri aas rangi sar zamin tak
nae mohron se phir apna
purana khel khelenge
teri har mat ki har chaal ko
shah-mat dekhenge
Nazm
AaKHiri samt mein bichhi bisat
Parveen Tahir