tumhaari mohabbat
ab pahle se zyaada insaf chahti hai
subh barish ho rahi thi
jo tumhein udas kar deti hai
is manzar ko la-zawal banne ka haq tha
is khiDki ko sabze ki taraf kholte hue
tumhein ek muhasare mein aae dil ki yaad nahin aai
ek gum-nam pul par
tum ne apne aap se mazbut lahje mein kaha
mujhe akele rahna hai
mohabbat ko tum ne
hairat-zada kar dene wali KHush-qismati nahin samjha
meri qismat jahaz-rani ke kar-KHane mein nahin bani
phir bhi main ne samundar ke fasle tai kiye
pur-asrar taur par KHud ko zinda rakkha
aur be-rahmi se shairi ki
mere pas ek mohabbat karne wale ki
tamam KHamiyan
aur aaKHiri dalil hai
Nazm
AaKHiri dalil
Afzal Ahmad Syed