aaj shab dil ke qarin koi nahin hai
aankh se dur tilismat ke dar wa hain kai
KHwab-dar-KHwab mahallat ke dar wa hain kai
aur makin koi nahin hai,
aaj shab dil ke qarin koi nahin hai
koi naghma, koi KHushbu, koi kafir-surat
koi ummid, koi aas musafir-surat
koi gham, koi kasak, koi shak, koi yaqin
koi nahin hai
aaj shab dil ke qarin koi nahin hai
tum agar ho, to mere pas ho ya dur ho tum
har ghaDi saya-gar-e-KHatir-e-ranjur ho tum
aur nahin ho to kahin koi nahin, koi nahin hai
aaj shab dil ke qarin koi nahin hai
Nazm
Aaj shab koi nahin hai
Faiz Ahmad Faiz