raat aate hi mujhe KHud se bhi Dar lagta hai
peD chalte hain hawaon se sada aati hai
meri tanhai ki KHamosh faza gati hai
raushni jagne lagti hai siyah-KHane mein
jaan paD jati hai bhule hue afsane mein
aane lagti hain kai ajnabi mahkaren si
gunjne lagti hain pazeb ki jhankaren si
hath mein waqt ke hota hai masarrat ka rabab
jagmagate hain andheron mein hazaron mahtab
baat hone nahin pati ki bichhaD jati ho
meri taqdir ki manind bigaD jati ho
aaj ki raat bhi shayad yahi aalam hoga!
chand suraj ki tarah lamhe nikal aaenge
dekhte dekhte din raat badal jaenge
wahi palken wahi zulfen wahi surat hogi
mere ghar mein meri mehman mohabbat hogi!
raat aate hi mujhe KHud se bhi Dar lagta hai
Nazm
Aaj ki raat
Sabir Dutt