dekhna jazb-e-mohabbat ka asar aaj ki raat
mere shane pe hai us shoKH ka sar aaj ki raat
aur kya chahiye ab ai dil-e-majruh tujhe
us ne dekha to ba-andaz-e-digar aaj ki raat
phul kya KHar bhi hain aaj gulistan-ba-kanar
sang-reze hain nigahon mein guhar aaj ki raat
mahw-e-gulgasht hai ye kaun mere dosh-ba-dosh
kahkashan ban gai har rahguzar aaj ki raat
phuT nikla dar-o-diwar se sailab-e-nashat
allah allah mera kaif-e-nazar aaj ki raat
shabnamistan-e-tajalli ka fusun kya kahiye
chand ne phenk diya raKHt-e-safar aaj ki raat
nur hi nur hai kis samt uThaun aanhken
husn hi husn hai ta-hadd-e-nazar aaj ki raat
qasr-e-giti mein umanD aaya hai tufan-e-hayat
maut larzan hai pas-e-parda-e-dar aaj ki raat
allah allah wo peshani-e-simin ka jamal
rah gai jam ke sitaron ki nazar aaj ki raat
aariz-e-garm pe wo rang-e-shafaq ki lahren
wo meri shoKH-nigahi ka asar aaj ki raat
nargis-e-naz mein wo nind ka halka sa KHumar
wo mere naghma-e-shirin ka asar aaj ki raat
naghma o mai ka ye tufan-e-tarab kya kahiye
ghar mera ban gaya 'KHayyam' ka ghar aaj ki raat
meri har sans pe wo un ki tawajjoh kya KHub
meri har baat pe wo jumbish-e-sar aaj ki raat
wo tabassum hi tabassum ka jamal-e-paiham
wo mohabbat hi mohabbat ki nazar aaj ki raat
uf wo waraftagi-e-shauq mein ek wahm-e-latif
kapkapae hue honTon pe nazar aaj ki raat
mazhab-e-ishq mein jaez hai yaqinan jaez
chum lun main lab-e-lalin bhi agar aaj ki raat
apni rifat pe jo nazan hain to nazan hi rahen
kah do anjum se ki dekhen na idhar aaj ki raat
un ke altaf ka itna hi fusun kafi hai
kam hai pahle se bahut dard-e-jigar aaj ki raat
Nazm
Aaj ki raat
Asrar-ul-Haq Majaz