اردو हिंदी
Aaj ki baat | Shaahi Shayari
aaj ki baat

Nazm

Aaj ki baat

Zehra Nigaah

;

aaj ki baat nai baat nahin hai aisi
jab kabhi dil se koi guzra hai yaad aai hai

sirf dil hi ne nahin god mein KHamoshi ki
pyar ki baat to har lamhe ne dohrai hai

chupke chupke hi chaTakne do ishaaron ke gulab
dhime dhime hi sulagne do taqazon ke alaw!

rafta rafta hi chhalakne do adaon ki sharab
dhire dhire hi nigahon ke KHazane bikhrao

baat achchhi ho to sab yaad kiya karte hain
kaam suljha ho to rah rah ke KHayal aata hai

dard miTha ho to ruk ruk ke kasak hoti hai
yaad gahri ho to tham tham ke qarar aata hai

dil guzargah hai aahista-KHirami ke liye
tez-gami ko jo apnao to kho jaoge

ek zara der hi palkon ko jhapak lene do
is qadar ghaur se dekhoge to so jaoge