main hun 'majaz' aaj bhi zamzama-e-sanj-o-naghma-KHwan
shair-e-mahfil-e-wafa mutrib-e-bazm-e-dil-baran
aaj bhi KHar-zar-e-gham KHuld-e-barin mere liye
aaj bhi rah-guzar-e-ishq mere liye hai kahkashan
aaj bhi ga raha hun main saz-e-junun liye hue
soz-e-nihan se aaj bhi ruh-e-tapan hai dil-tapan
aaj bhi zindagi meri gharq-e-sharab-e-tund-o-tez
aaj bhi hath mein mere jam-e-sharab-e-arghawan
aaj bhi hai rachi hui aaj bhi hai basi hui
mere nafas mein KHuld ki nuzhat-o-nikhat-e-jawan
aaj bhi nukta-chin hun main KHalwatiyan-e-KHas ka
KHalwatiyan-e-KHas ka aaj bhi hun mizaj-dan
aaj bhi ashk-e-KHun mera qashqa jabin-e-naz ka
aaj bhi KHak-e-dil meri surma-e-chashm-e-gul-ruKHan
aaj bhi dil ko hai mere daulat-e-agahi nasib
aaj bhi hai nazar meri arz-o-saman ki raaz-dan
aaj bhi hai junun mera dair-o-haram pe KHanda-zan
aaj bhi mujh se bad-hawas dair-o-haram ke pasban
aaj bhi saz se mere garmi-e-bazm-e-sar-kashi
aaj bhi aatish-e-suKHan shoala-fishan sharar-fishan
aaj bhi hai likhi hui surKH huruf mein 'majaz'
daftar-e-shahr-e-yar mein mere junun ki dastan
Nazm
Aaj bhi
Asrar-ul-Haq Majaz