jab chhalakte hain zar-o-sim ke gate hue jam
ek zahrab sa mahaul mein ghul jata hai
kanp uThta hai tahi-dast jawanon ka ghurur
husn jab resham-o-kam-KHwab mein tal jata hai
main ne dekha hai ki aflas ke sahraon mein
qafile azmat-e-ehsas ke ruk jate hain
bekasi garm nigahon ko jhulas deti hai
dil kisi shoala-e-zartab se phuk jate hain
jin usulon se ibarat hai mohabbat ki asas
un usulon ko yahan toD diya jata hai
apni sahmi hui manzil ke tahaffuz ke liye
rahguzaron mein dhuan chhoD diya jata hai
main ne jo raaz zamane se chhupana chaha!
tu ne aafaq pe us raaz ka dar khol diya
meri banhon ne jo dekhe the sunahre sapne
tu ne sone ki taraazu mein unhen tol diya
aaj aflas ne khai hai zar-o-sim se mat
is mein lekin tere chillon ka koi dosh nahin
ye taghayyur usi mahaul ka parwarda hai
apni be-rang tabahi ka jise hosh nahin
rahguzaron ke dhundalke to zara chhaT jaen
apne talwon se ye kanTe bhi nikal jaenge
aaj aur kal ki masafat ko zara tai kar len
waqt ke sath irade bhi badal jaenge
Nazm
Aaj aur kal
Qateel Shifai